Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile

Janan Malik

naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile

Janan Malik

MORE BYJanan Malik

    naddī ye jaise mauj meñ dariyā se mile

    tum se kahīñ milūñ maiñ agar rāsta mile

    miltī hai ek saañs mohlat kabhī kabhī

    shāyad ye raat bhī tirī sub.hoñ se mile

    jo bhī milā vo apnī anā asiir thā

    insāñ ko DhūñDne meñ ga.ī to ḳhudā mile

    is ahd-e-intishār meñ kyā ittifāq hai

    dard-o-alam ye ranj-o-malāl ek mile

    dil meñ zarā ḳhulūs na mehr-o-vafā rañg

    rasman bahut 'azīz bahut aqrabā mile

    merī shikast meñ mire kuchh mehrbāñ bhī the

    merī safeñ jo chhoḌ ke dushman se mile

    us samt se bhī guzre na.ī rut kārvāñ

    ġhāroñ ke bāsiyoñ ko bhī taaza havā mile

    'jānāñ' ye zindagī ke 'ajab sānehāt haiñ

    kuchh log apne-āp se aksar ḳhafā mile

    naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile

    tum se kahin milun main agar rasta mile

    milti hai ek sans ki mohlat kabhi kabhi

    shayad ye raat bhi teri subhon se ja mile

    jo bhi mila wo apni ana ka asir tha

    insan ko DhunDne mein gai to KHuda mile

    is ahd-e-intishaar mein kya ittifaq hai

    dard-o-alam ye ranj-o-malal ek ja mile

    dil mein zara KHulus na mehr-o-wafa ka rang

    rasman bahut 'aziz bahut aqraba mile

    meri shikast mein mere kuchh mehrban bhi the

    meri safen jo chhoD ke dushman se ja mile

    us samt se bhi guzre nai rut ka karwan

    ghaaron ke basiyon ko bhi taza hawa mile

    'jaanan' ye zindagi ke 'ajab sanehat hain

    kuchh log apne-ap se aksar KHafa mile

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now