Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae jahan mein purani sharab le aae

Fitrat Ansari

nae jahan mein purani sharab le aae

Fitrat Ansari

MORE BYFitrat Ansari

    na.e jahāñ meñ purānī sharāb le aa.e

    añdherī raat meñ ham āftāb le aa.e

    mire yaqīn meñ gunjā.ish-e-dalīl nahīñ

    javāz DhūñDne vaale kitāb le aa.e

    paḌe the ek aalam meñ ahl-e-mai-ḳhāna

    shikast-e-jām se ham inqalāb le aa.e

    vo kāmyāb-e-mohabbat haiñ jo tire dar se

    ḳhud apne aap ko nā-kāmyāb le aa.e

    tamām umr jo chhāyā rahegā āñkhoñ meñ

    tumhārī bazm se ham aisā ḳhvāb le aa.e

    yahāñ to ek bhī ġham-āshnā nahīñ apnā

    farishte mujh ko kahāñ be-naqāb le aa.e

    hayāt-e-ishq meñ ham toḌ kar quyūd-e-vafā

    kisī bhī taur sahī inqalāb le aa.e

    vahī safīne jo tūfāñ-shanās the fitrat

    sukūt-e-shahr meñ ik iztirāb le aa.e

    nae jahan mein purani sharab le aae

    andheri raat mein hum aaftab le aae

    mere yaqin mein gunjaish-e-dalil nahin

    jawaz DhunDne wale kitab le aae

    paDe the ek hi aalam mein ahl-e-mai-KHana

    shikast-e-jam se hum inqalab le aae

    wo kaamyab-e-mohabbat hain jo tere dar se

    KHud apne aap ko na-kaamyab le aae

    tamam umr jo chhaya rahega aankhon mein

    tumhaari bazm se hum aisa KHwab le aae

    yahan to ek bhi gham-ashna nahin apna

    farishte mujh ko kahan be-naqab le aae

    hayat-e-ishq mein hum toD kar quyud-e-wafa

    kisi bhi taur sahi inqalab le aae

    wahi safine jo tufan-shanas the fitrat

    sukut-e-shahr mein ek iztirab le aae

    Source:

    Mehrab-e-Tamanna (Pg. 44)

    • Author: Fitrat Ansari
      • Edition: 1982
      • Publisher: Bazm-e-Urdu Adab, Sikandrabad
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now