Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin

Mazhar Imam

nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    na.e makāñ meñ aqīde koī nahīñ

    ḳhudā to hai pa kahīñ banda-e-ḳhudā nahīñ

    bharosa yuuñ to bahut thā magar duā ke liye

    jo haath ham ne uThāyā to vo uThā nahīñ

    har ek shaḳhs yahāñ apne-āp meñ gum hai

    kisī se haath milāne fā.eda nahīñ

    lahū-luhān hai jo bhī udhar se aayā hai

    magar ye maiñ ki jo us raah tak gayā nahīñ

    dayār-e-ḳhvāb hai aao yahīñ qayām kareñ

    yahāñ se yuuñ bhī nikalne rāsta nahīñ

    nae makan mein aqide ki koi ja hi nahin

    KHuda to hai pa kahin banda-e-KHuda hi nahin

    bharosa yun to bahut tha magar dua ke liye

    jo hath hum ne uThaya to wo uTha hi nahin

    har ek shaKHs yahan apne-ap mein gum hai

    kisi se hath milane ka faeda hi nahin

    lahu-luhan hai jo bhi udhar se aaya hai

    magar ye main ki jo us rah tak gaya hi nahin

    dayar-e-KHwab hai aao yahin qayam karen

    yahan se yun bhi nikalne ka rasta hi nahin

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 143)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now