Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nae mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain

Nadir Areez

nae mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain

Nadir Areez

MORE BYNadir Areez

    na.e mujrim haiñ purānoñ taraf dekhte haiñ

    muqtadī apne imāmoñ taraf dekhte haiñ

    ḳhauf se bhaag khaḌe hote haiñ buzdil faujī

    ham nadāmat se shahīdoñ taraf dekhte haiñ

    itnā pyārā hai vo chehra ki nazar paḌte

    log hāthoñ lakīroñ taraf dekhte haiñ

    hijr raas aatā to kyuuñ karte tujhe yaad miyāñ

    dhuup lagtī hai to chhāñv taraf dekhte haiñ

    kyā ḳhasārā hai inheñ bachchoñ ghar basne meñ

    ham ta.ajjub se buzurgoñ taraf dekhte haiñ

    jin ko āsānī se dīdār mayassar hai tirā

    vo kahāñ baaġh meñ phūloñ taraf dekhte haiñ

    pahlā mauqa hai mohabbat taraf-dārī

    kabhī us ko kabhī logoñ taraf dekhte haiñ

    nae mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain

    muqtadi apne imamon ki taraf dekhte hain

    KHauf se bhag khaDe hote hain buzdil fauji

    hum nadamat se shahidon ki taraf dekhte hain

    itna pyara hai wo chehra ki nazar paDte hi

    log hathon ki lakiron ki taraf dekhte hain

    hijr ras aata to kyun karte tujhe yaad miyan

    dhup lagti hai to chhanw ki taraf dekhte hain

    kya KHasara hai inhen bachchon ka ghar basne mein

    hum tajjub se buzurgon ki taraf dekhte hain

    jin ko aasani se didar mayassar hai tera

    wo kahan bagh mein phulon ki taraf dekhte hain

    pahla mauqa hai mohabbat ki taraf-dari ka

    kabhi us ko kabhi logon ki taraf dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now