nae suKHan ki mashaqqat mein KHarch hota hai
na.e suḳhan kī mashaqqat meñ ḳharch hotā hai
mirā vujūd mohabbat meñ ḳharch hotā hai
nahīñ lubhātā mujhe koī 'aam sā manzar
junūn aañkh kī hairat meñ ḳharch hotā hai
ḳhudā ai kaash koī aur kaam bhī detā
ye shahr sirf 'ibādat meñ ḳharch hotā hai
sisakte rahte haiñ fursat ke raat din 'āzar'
jise bhī dekhiye 'ujlat meñ ḳharch hotā hai
nae suKHan ki mashaqqat mein KHarch hota hai
mera wujud mohabbat mein KHarch hota hai
nahin lubhata mujhe koi 'am sa manzar
junun aankh ki hairat mein KHarch hota hai
KHuda ai kash koi aur kaam bhi deta
ye shahr sirf 'ibaadat mein KHarch hota hai
sisakte rahte hain fursat ke raat din 'azar'
jise bhi dekhiye 'ujlat mein KHarch hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.