Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta

Arshad Abdul Hamid

nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta

Arshad Abdul Hamid

MORE BYArshad Abdul Hamid

    nafāz-e-nazm pur-isrār hai aisā nahīñ lagtā

    gulistāñ meñ koī sarkār hai aisā nahīñ lagtā

    yahāñ har jeb meñ ḳhvāboñ zar-muhreñ khanaktī haiñ

    ye duniyā dard bāzār hai aisā nahīñ lagtā

    ham apnī jhoñk meñ aage jānib baḌhte jaate haiñ

    hamāre sāmne dīvār hai aisā nahīñ lagtā

    sar-e-pindār se pā-e-junūñ rabt ġhā.eb hai

    ye pīḌhī barsar-e-paikār hai aisā nahīñ lagtā

    maiñ jaise ek rāh-e-sust-rau sair kartā huuñ

    mirī rānoñ tale rahvār hai aisā nahīñ lagtā

    umaD ke aayā to hai abr-e-girya matla-e-jāñ se

    magar ye sā.iqa-bardār hai aisā nahīñ lagtā

    ba-yak jast-e-tasavvur bazm-e-jānāñ meñ pahuñchtā hai

    ye 'arshad' hijr bīmār hai aisā nahīñ lagtā

    nafaz-e-nazm pur-israr hai aisa nahin lagta

    gulistan mein koi sarkar hai aisa nahin lagta

    yahan har jeb mein KHwabon ki zar-muhren khanakti hain

    ye duniya dard ka bazar hai aisa nahin lagta

    hum apni jhonk mein aage ki jaanib baDhte jate hain

    hamare samne diwar hai aisa nahin lagta

    sar-e-pindar se pa-e-junun ka rabt ghaeb hai

    ye piDhi barsar-e-paikar hai aisa nahin lagta

    main jaise ek rah-e-sust-rau ki sair karta hun

    meri ranon tale rahwar hai aisa nahin lagta

    umaD ke aaya to hai abr-e-girya matla-e-jaan se

    magar ye saiqa-bardar hai aisa nahin lagta

    ba-yak jast-e-tasawwur bazm-e-jaanan mein pahunchta hai

    ye 'arshad' hijr ka bimar hai aisa nahin lagta

    Source:

    Sadaa-e-aabju (Pg. 43)

    • Author: Arshad Abdul Hameed
      • Edition: 2004
      • Publisher: Arshad Abdul Hameed
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now