Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai

Musavvir Sabzwari

nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai

Musavvir Sabzwari

MORE BYMusavvir Sabzwari

    nafas nafas hai bhañvar chaḌhtī shab manzar hai

    hisār-e-jism meñ ik chīḳhtā samundar hai

    havā-e-tāza ke mānind mat lipaT mujh se

    ga.ī rutoñ bahut zahr mere andar hai

    nikal ke jā.ūñ gunah-gār-e-tīrgī se kidhar

    har ek haath meñ ab raushnī patthar hai

    ik aag uḌtī huī vahī ta.āqub meñ

    badan raakh abhī shāyad badan ke andar hai

    kyuuñ uḌhātā hai mujh ko ye raushnī ridā

    mujhe ḳhabar hai añdherā mirā muqaddar hai

    salīb-e-shab se 'musavvir' sahar ke maqtal tak

    kahāñ mileñ ki har ik fāsla barābar hai

    nafas nafas hai bhanwar chaDhti shab ka manzar hai

    hisar-e-jism mein ek chiKHta samundar hai

    hawa-e-taza ke manind mat lipaT mujh se

    gai ruton ka bahut zahr mere andar hai

    nikal ke jaun gunah-gar-e-tirgi se kidhar

    har ek hath mein ab raushni ka patthar hai

    ek aag uDti hui si wahi taaqub mein

    badan ki rakh abhi shayad badan ke andar hai

    tu kyun uDhata hai mujh ko ye raushni ki rida

    mujhe KHabar hai andhera mera muqaddar hai

    salib-e-shab se 'musawwir' sahar ke maqtal tak

    kahan milen ki har ek fasla barabar hai

    Source:

    Manghii dhire chal (Pg. 96)

    • Author: Musavvir Sabzwari
      • Edition: 1971
      • Publisher: Nazish Book Center
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now