nafas nafas mein badalta hua sa kuchh to hai
nafas nafas meñ badaltā huā sā kuchh to hai
havā ke bhes meñ chaltā huā sā kuchh to hai
dhuāñ-dhuāñ sā ḳhayāloñ meñ uTh rahā hai kyā
mirī nigāh meñ jaltā huā sā kuchh to hai
vo zā'frān se lamhe ye sāñvle se charāġh
nashīlī raat meñ Dhaltā huā sā kuchh to hai
siyāh āfateñ phirtī haiñ roz ḳhāna-ba-dosh
vidā’-e-hosh meñ paltā huā sā kuchh to hai
sañbhal sañbhal ke uThā har qadam ki jān-e-bahār
qadam qadam pe kuchaltā huā sā kuchh to hai
nafas nafas mein badalta hua sa kuchh to hai
hawa ke bhes mein chalta hua sa kuchh to hai
dhuan-dhuan sa KHayalon mein uTh raha hai kya
meri nigah mein jalta hua sa kuchh to hai
wo za'fran se lamhe ye sanwle se charagh
nashili raat mein Dhalta hua sa kuchh to hai
siyah aafaten phirti hain roz KHana-ba-dosh
wida’-e-hosh mein palta hua sa kuchh to hai
sanbhal sanbhal ke uTha har qadam ki jaan-e-bahaar
qadam qadam pe kuchalta hua sa kuchh to hai
- Book : Ishq (Pg. 79)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.