Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafas nafas mein har ek pal intishaar sa kuchh

Khalid Saeed

nafas nafas mein har ek pal intishaar sa kuchh

Khalid Saeed

MORE BYKhalid Saeed

    nafas nafas meñ har ek pal intishār kuchh

    lahū bārūd meñ dharā hai sharār kuchh

    tujhe maiñ chhū chhū ke apnī miTTī basā rahā huuñ

    ab aa rahā hai zarā zarā e.atibār kuchh

    hamārī bastī meñ kaun phir mo'atabar rahegā

    ki ā.inoñ meñ utar rahā hai ġhubār kuchh

    añdherī shab meñ charāġh jal rahī hai mayyat

    ragoñ meñ shāyad ki rah gayā hai sharār kuchh

    maiñ ek kyā vahāñ sabhī zār-zār ro.e

    vo khoī khoī bajā rahī thī sitār kuchh

    charāġh hāthoñ meñ le ke jal-nāriyāñ chalī haiñ

    tah-e-samundar dikhā.ī deve dayār kuchh

    nafas nafas mein har ek pal intishaar sa kuchh

    lahu ki barud mein dhara hai sharar sa kuchh

    tujhe main chhu chhu ke apni miTTi basa raha hun

    ab aa raha hai zara zara eatibar sa kuchh

    hamari basti mein kaun phir mo'atabar rahega

    ki aainon mein utar raha hai ghubar sa kuchh

    andheri shab mein charagh sa jal rahi hai mayyat

    ragon mein shayad ki rah gaya hai sharar sa kuchh

    main ek hi kya wahan sabhi zar-zar roe

    wo khoi khoi baja rahi thi sitar sa kuchh

    charagh hathon mein le ke jal-nariyan chali hain

    tah-e-samundar dikhai dewe dayar sa kuchh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now