Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafas nafas na kahin jae raegan apna

Habeeb Rahat Habab

nafas nafas na kahin jae raegan apna

Habeeb Rahat Habab

MORE BYHabeeb Rahat Habab

    nafas nafas na kahīñ jaa.e rā.egāñ apnā

    havā shāḳh pe rakkhā hai āshiyāñ apnā

    hamāre ḳhvāb meñ kamḳhāb hai na resham hai

    yaqīñ yaqīñ rahā hai na ab gumāñ apnā

    abā-qabā to hai shāhoñ choñchle-bāzī

    qalandaroñ hai sab se alag jahāñ apnā

    tire ḳhulūs ke hāthoñ bike hue haiñ ham

    na suud suud hai apnā na hai ziyāñ apnā

    nigāh-e-nāz ne be-ḳhud kiyā hai jis din se

    matā-e-jism hai apnī na zād-e-jāñ apnā

    kiyā hai chāñd pe basne ahd jab us ne

    zamīn DhūñDhtī phirtī hai āsmāñ apnā

    vahīñ vahīñ se numū pā.egī mirī hastī

    lahū 'habāb' girā hai jahāñ jahāñ apnā

    nafas nafas na kahin jae raegan apna

    hawa ki shaKH pe rakkha hai aashiyan apna

    hamare KHwab mein kamKHab hai na resham hai

    yaqin yaqin hi raha hai na ab guman apna

    aba-qaba to hai shahon ki chonchle-bazi

    qalandaron ka hai sab se alag jahan apna

    tere KHulus ke hathon bike hue hain hum

    na sud sud hai apna na hai ziyan apna

    nigah-e-naz ne be-KHud kiya hai jis din se

    mata-e-jism hai apni na zad-e-jaan apna

    kiya hai chand pe basne ka ahd jab us ne

    zamin DhunDhti phirti hai aasman apna

    wahin wahin se numu paegi meri hasti

    lahu 'habab' gira hai jahan jahan apna

    Source:

    Ek Shayar Ek Ghazal(Shora-e-Karam Ka Tarufi Majmua (Pg. 80)

    • Author: Saeed Rahmani
      • Edition: 2007
      • Publisher: Akhbar-e-Odihsa Publications, Cuttack
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now