nafas yun nala-e-dil-gir khinche
nafas yuuñ nāla-e-dil-gīr khīñche
koī siine se jaise tiir khīñche
hameñ ḳhushbū kā chehra dekhnā hai
havāoñ kī koī tasvīr khīñche
jahāñgīr-e-zamāna rail meñ hoñ
aur aise meñ koī zanjīr khīñche
lagā kar aa.ina ik jang-pesha
ḳhud apnī samt apnā tiir khīñche
maiñ khīñchūñ hiir kī choTī pakaḌ ke
mire kurte kā dāman hiir khīñche
nafas yun nala-e-dil-gir khinche
koi sine se jaise tir khinche
hamein KHushbu ka chehra dekhna hai
hawaon ki koi taswir khinche
jahangir-e-zamana rail mein hon
aur aise mein koi zanjir khinche
laga kar aaina ek jang-pesha
KHud apni samt apna tir khinche
main khinchun hir ki choTi pakaD ke
mere kurte ka daman hir khinche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.