Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafi ke jabr se aazad aur sabaat se dur

Imdad Akash

nafi ke jabr se aazad aur sabaat se dur

Imdad Akash

MORE BYImdad Akash

    nafī ke jabr se āzād aur sabāt se duur

    hai kā.enāt koī merī kā.enāt se duur

    mirā vujūd mirī dāstāñ hissa hai

    mirā nishāñ hai kahīñ par hisār-e-zāt se duur

    patā chalā hai ki chashma hai āb-e-haivāñ

    zamīñ had se pare arsa-e-hayāt se duur

    nigār ḳhāne ke andar nigār ḳhāne haiñ

    ka.ī ḳhayāl haiñ mere taḳhayyulāt se duur

    ye sabz rang ye shāḳheñ to haiñ nazar fareb

    ugā huā hai shajar Daal aur paat se duur

    nafi ke jabr se aazad aur sabaat se dur

    hai kaenat koi meri kaenat se dur

    mera wujud meri dastan ka hissa hai

    mera nishan hai kahin par hisar-e-zat se dur

    pata chala hai ki chashma hai aab-e-haiwan ka

    zamin ki had se pare arsa-e-hayat se dur

    nigar KHane ke andar nigar KHane hain

    kai KHayal hain mere taKHayyulat se dur

    ye sabz rang ye shaKHen to hain nazar ka fareb

    uga hua hai shajar Dal aur pat se dur

    Source:

    Yun Khawab Hamara Banta Hai (Pg. 27)

    • Author: Imdad Akash
      • Publisher: Imran Printers, Islamabad
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now