Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafrat ka ye wakil nikalen kisi tarah

Azhar Bakhsh Azhar

nafrat ka ye wakil nikalen kisi tarah

Azhar Bakhsh Azhar

MORE BYAzhar Bakhsh Azhar

    nafrat ye vakīl nikāleñ kisī tarah

    ab pyaar appeal nikāleñ kisī tarah

    aao ġhamoñ ke jism ko gudgudā.eñ ab

    ḳhush rahne sabīl nikāleñ kisī tarah

    kitne isī meñ duub ga.e aur mar-miTe

    āñkhoñ se apnī jhiil nikāleñ kisī tarah

    us ke sitam se aap pareshān haiñ to phir

    kar ke use zalīl nikāleñ kisī tarah

    'az.har' patang peñch ke anqarīb hai

    charḳhī se apnī Dhiil nikāleñ kisī tarah

    nafrat ka ye wakil nikalen kisi tarah

    ab pyar ki appeal nikalen kisi tarah

    aao ghamon ke jism ko hi gudgudaen ab

    KHush rahne ki sabil nikalen kisi tarah

    kitne isi mein dub gae aur mar-miTe

    aankhon se apni jhil nikalen kisi tarah

    us ke sitam se aap pareshan hain to phir

    kar ke use zalil nikalen kisi tarah

    'azhar' patang pench ke hi anqarib hai

    charKHi se apni Dhil nikalen kisi tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now