Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafraton ko miTa diya tu ne

Ahmed Arsalan

nafraton ko miTa diya tu ne

Ahmed Arsalan

MORE BYAhmed Arsalan

    nafratoñ ko miTā diyā ne

    dushmanoñ ko milā diyā ne

    chhoḌ kar rāh-e-'ishq meñ mujh ko

    rog kaisā lagā diyā ne

    maiñ to sāda-mizāj huuñ lekin

    mujh ko model banā diyā ne

    vo bhaTaktā nahīñ hai rāhoñ meñ

    jis ko rasta dikhā diyā ne

    thī zamāne se justujū jis

    aaj us se milā diyā ne

    us qismat chamak rahī hogī

    jis ko apnā banā diyā ne

    saarī bastī meñ raushnī ke liye

    ghar hamārā jalā diyā ne

    thā hasīñ ḳhvāb merī āñkhoñ meñ

    be-sabab kyoñ jagā diyā ne

    tujh ko ḳhud ḳhabar nahīñ hai abhī

    kyoñ jahāñ ko batā diyā ne

    jis qalandar thī talāsh mujhe

    us se 'ahmad' milā diyā ne

    nafraton ko miTa diya tu ne

    dushmanon ko mila diya tu ne

    chhoD kar rah-e-'ishq mein mujh ko

    rog kaisa laga diya tu ne

    main to sada-mizaj hun lekin

    mujh ko model bana diya tu ne

    wo bhaTakta nahin hai rahon mein

    jis ko rasta dikha diya tu ne

    thi zamane se justuju jis ki

    aaj us se mila diya tu ne

    us ki qismat chamak rahi hogi

    jis ko apna bana diya tu ne

    sari basti mein raushni ke liye

    ghar hamara jala diya tu ne

    tha hasin KHwab meri aankhon mein

    be-sabab kyon jaga diya tu ne

    tujh ko KHud ki KHabar nahin hai abhi

    kyon jahan ko bata diya tu ne

    jis qalandar ki thi talash mujhe

    us se 'ahmad' mila diya tu ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now