Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nafs namrud hai kya hona hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

nafs namrud hai kya hona hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

MORE BYWazir Ali Saba Lakhnavi

    nafs namrūd hai kyā honā hai

    shirk maujūd hai kyā honā hai

    kashf maqsūd hai kyā honā hai

    haal mafqūd hai kyā honā hai

    sajde hote haiñ kise o ġhāfil

    kaun ma.abūd hai kyā honā hai

    chhoḌ duniyā-e-danī pīchhā

    is se kyā suud hai kyā honā hai

    hast-o-būd-e-tan-e-ḳhākī ik din

    nīst-nābūd hai kyā honā hai

    saaf hotā ki ho az-ḳhud rafta

    raah masdūd hai kyā honā hai

    dekhiye hashr ko kaise guzre

    roz-e-ma.hūd hai kyā honā hai

    chāhiye masjid-e-aqsā meñ namāz

    dair masjūd hai kyā honā hai

    man-o-salvā jise ham samjhe haiñ

    zahr-ālūd kyā honā hai

    garmī-e-ishq-o-nihāl-e-hastī

    ātish-o-ūd hai kyā honā hai

    jauhar-e-rūh tan-e-ḳhākī meñ

    kyā gul-andūd hai kyā honā hai

    jo ki mansūr ke pesh aayā thā

    vahī maujūd hai kyā honā hai

    ḳhud parastī burī hai sūrat

    abd ma.abūd hai kyā honā hai

    ai 'sabā' dekhiye vo parda-nashīñ

    kis se ḳhush-nūd hai kyā honā hai

    nafs namrud hai kya hona hai

    shirk maujud hai kya hona hai

    kashf maqsud hai kya hona hai

    haal mafqud hai kya hona hai

    sajde hote hain kise o ghafil

    kaun mabud hai kya hona hai

    chhoD duniya-e-dani ka pichha

    is se kya sud hai kya hona hai

    hast-o-bud-e-tan-e-KHaki ek din

    nist-nabud hai kya hona hai

    saf hota ki ho az-KHud rafta

    rah masdud hai kya hona hai

    dekhiye hashr ko kaise guzre

    roz-e-mahud hai kya hona hai

    chahiye masjid-e-aqsa mein namaz

    dair masjud hai kya hona hai

    man-o-salwa jise hum samjhe hain

    zahr-alud hi kya hona hai

    garmi-e-ishq-o-nihaal-e-hasti

    aatish-o-ud hai kya hona hai

    jauhar-e-ruh tan-e-KHaki mein

    kya gul-andud hai kya hona hai

    jo ki mansur ke pesh aaya tha

    wahi maujud hai kya hona hai

    KHud parasti ki buri hai surat

    abd mabud hai kya hona hai

    ai 'saba' dekhiye wo parda-nashin

    kis se KHush-nud hai kya hona hai

    Source:

    Ghuncha-e-Arzu (Pg. ebook-176 page-178)

    • Author: Wazir Ali Saba Lakhnavi
      • Edition: 1856
      • Publisher: Matba Mohammadi, Lucnow
      • Year of Publication: 1856
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now