nagar mein sham ho gai hai kahish-e-maash mein
nagar meñ shaam ho ga.ī hai kāhish-e-ma.āsh meñ
zamīñ pe phir rahe haiñ log rizq kī talāsh meñ
guzar ga.ī tamām umr is hisār-e-tang meñ
kashish hai ik marīz sī makāñ kī būd-o-bāsh meñ
hilāl harf-e-ḳhauf sā fasīl-e-sang-e-nīl par
yā hai adam kā zard rañg ḳhvāhish-e-ḳharāsh meñ
chamak rahe haiñ ta.aziye balā kī tez dhuup meñ
mahak hai āb-e-marg kī fishār-e-arq-pāsh meñ
'munīr' husn-e-bātinī ko koī dekhtā nahīñ
matā-e-chashm kho ga.ī libās kī tarāsh meñ
nagar mein sham ho gai hai kahish-e-maash mein
zamin pe phir rahe hain log rizq ki talash mein
guzar gai tamam umr is hisar-e-tang mein
kashish hai ek mariz si makan ki bud-o-bash mein
hilal harf-e-KHauf sa fasil-e-sang-e-nil par
ya hai adam ka zard rang KHwahish-e-KHarash mein
chamak rahe hain taziye bala ki tez dhup mein
mahak hai aab-e-marg ki fishaar-e-arq-pash mein
'munir' husn-e-baatini ko koi dekhta nahin
mata-e-chashm kho gai libas ki tarash mein
- Book : 8 Gazal Go (Pg. 19)
- Author : javed Shaheen
- Publication : Maktaba Meri Library,Lahore (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.