Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ab koi KHwab aisa teri surat jo dikhlae

Khalilur Rahman Azmi

nahin ab koi KHwab aisa teri surat jo dikhlae

Khalilur Rahman Azmi

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    nahīñ ab koī ḳhvāb aisā tirī sūrat jo dikhlā.e

    bichhaḌ kar tujh se kis manzil pe ham tanhā chale aa.e

    abhī tak yaad aate haiñ kuchh aise ajnabī chehre

    jinheñ dekhe koī to dekh kar taktā rah jaa.e

    ye sach hai ek zahr-e-ġham aayā apne hisse meñ

    magar ye zahr kar bhī na ham jiine se baaz aa.e

    isī ke vāste mat pūchh kyā qīmat adā hai

    magar hai kaun jo TuuTe hue is dil ko apnā.e

    isī ummīd par zinda hai ye zauq-e-suḳhan-goī

    ki aane vaalī duniyā shāyad in she'roñ ko dohrā.e

    adhūre sahī ye naqsh phir bhī chhoḌe jaate haiñ

    ki is tasvīr meñ shāyad koī apnā nishāñ paa.e

    nahin ab koi KHwab aisa teri surat jo dikhlae

    bichhaD kar tujh se kis manzil pe hum tanha chale aae

    abhi tak yaad aate hain kuchh aise ajnabi chehre

    jinhen dekhe koi to dekh kar takta hi rah jae

    ye sach hai ek zahr-e-gham hi aaya apne hisse mein

    magar ye zahr pi kar bhi na hum jine se baz aae

    isi ke waste mat puchh kya qimat ada ki hai

    magar hai kaun jo TuTe hue is dil ko apnae

    isi ummid par zinda hai ye zauq-e-suKHan-goi

    ki aane wali duniya shayad in she'ron ko dohrae

    adhure hi sahi ye naqsh phir bhi chhoDe jate hain

    ki is taswir mein shayad koi apna nishan pae

    Source:

    Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 58)

    • Author: Khaleel-Ur-Rehman Azmi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now