nahin hai munhasir is baat par yari hamari
nahīñ hai munhasir is baat par yaarī hamārī
ki tū kartā rahe nāhaq taraf-dārī hamārī
añdhere meñ hameñ rakhnā to ḳhāmoshī se rakhnā
kahīñ bedār ho jaa.e na bedārī hamārī
magar achchhā to ye hotā ki ham ik saath rahte
bharī rahtī tire kapḌoñ se almārī hamārī
ham āsānī se khul jaa.eñ magar ik mas.ala hai
tumhārī sat.h se uupar hai tahdārī hamārī
hameñ jiite chale jaane pe maa.il karne vaalī
yahāñ koī nahīñ lekin suḳhan-kārī hamārī
kahānī-kār ne kirdār hī aisā diyā hai
adākārī nahīñ lagtī adākārī hamārī
nahin hai munhasir is baat par yari hamari
ki tu karta rahe nahaq taraf-dari hamari
andhere mein hamein rakhna to KHamoshi se rakhna
kahin bedar ho jae na bedari hamari
magar achchha to ye hota ki hum ek sath rahte
bhari rahti tere kapDon se almari hamari
hum aasani se khul jaen magar ek masala hai
tumhaari sath se upar hai tahdari hamari
hamein jite chale jaane pe mail karne wali
yahan koi nahin lekin suKHan-kari hamari
kahani-kar ne kirdar hi aisa diya hai
adakari nahin lagti adakari hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.