Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin hai naseh-e-nadan sharab shishe mein

Bekhud Mohani

nahin hai naseh-e-nadan sharab shishe mein

Bekhud Mohani

MORE BYBekhud Mohani

    nahīñ hai nāseh-e-nādāñ sharāb shīshe meñ

    bharā hai rind ne aish-e-shabāb shīshe meñ

    vo rind huuñ ki sū-e-mai-kada agar jā.ūñ

    to mauj-e-bād ho mauj-e-sharāb shīshe meñ

    jo aks-e-sāqī-e-rangīñ-adā ho aks-fagan

    to mauj-e-mai ko rahe pech-o-tāb shīshe meñ

    hai aks-e-chīn-e-jabīñ mauj-e-bāda-e-gulgūñ

    janāb haiñ tirī chashm-e-itāb shīshe meñ

    rahe jo taak meñ bint-ul-inab ke zāhid-e-ḳhushk

    to jin tarah rahe band ḳhvāb shīshe meñ

    habāb-e-mai ke liye ehtiyāj-e-mauj kahāñ

    ye ḳhema nasb huā be-tanāb shīshe meñ

    gulābiyāñ raheñ ḳhālī bahār meñ saaqī

    tire karam na barsā sahāb shīshe meñ

    kahāñ haiñ aḳhtar-e-tābāñ falak pe zarre haiñ

    bharī hai ḳhāk-e-dar-e-bū-turāb shīshe meñ

    ḳhayāl-e-ruḳh ho jo hangām-e-dūd-ashāmī

    har ek zarra bane āftāb shīshe meñ

    halāl kyoñ nahīñ mai ham pe hazrat-e-zāhid

    ye ḳhūn-e-tauba nahīñ ai janāb shīshe meñ

    nahin hai naseh-e-nadan sharab shishe mein

    bhara hai rind ne aish-e-shabab shishe mein

    wo rind hun ki su-e-mai-kada agar jaun

    to mauj-e-baad ho mauj-e-sharab shishe mein

    jo aks-e-saqi-e-rangin-ada ho aks-fagan

    to mauj-e-mai ko rahe pech-o-tab shishe mein

    hai aks-e-chin-e-jabin mauj-e-baada-e-gulgun

    janab hain teri chashm-e-itab shishe mein

    rahe jo tak mein bint-ul-inab ke zahid-e-KHushk

    to jin ki tarah rahe band KHwab shishe mein

    habab-e-mai ke liye ehtiyaj-e-mauj kahan

    ye KHema nasb hua be-tanab shishe mein

    gulabiyan rahen KHali bahaar mein saqi

    tere karam ka na barsa sahab shishe mein

    kahan hain aKHtar-e-taban falak pe zarre hain

    bhari hai KHak-e-dar-e-bu-turab shishe mein

    KHayal-e-ruKH ho jo hangam-e-dud-ashami

    har ek zarra bane aaftab shishe mein

    halal kyon nahin mai hum pe hazrat-e-zahid

    ye KHun-e-tauba nahin ai janab shishe mein

    Source:

    Kulliyat-e-Bekhud (Pg. 87)

    • Author: Bekhud Mohani
      • Publisher: Syed Zia-ul-Hasnain
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now