Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin kuchh faiz hasil tha zamane se KHafa ho kar

Irfan Ahmad mir

nahin kuchh faiz hasil tha zamane se KHafa ho kar

Irfan Ahmad mir

MORE BYIrfan Ahmad mir

    nahīñ kuchh faiz hāsil thā zamāne se ḳhafā ho kar

    maiñ dīvāna banā huuñ ḳhud us but par fanā ho kar

    merī duniyā meñ ashk-o-ḳhūñ tāñtā rahā har-dam

    kabhī terī vafāoñ meñ kabhī tum se judā ho kar

    tasavvur meñ bhī pindār-e-vafā lutf hāsil thā

    tumhārī zulf-e-qātil-e-pesha ke ḳham meñ fanā ho kar

    gañvā.ī ashkoñ ne tāsīr jo ḳhūn-e-jigar thī

    girā jab āb-e-gauhar bhī libās-e-tan pe ho kar

    yahī duniyā tañg-bīnī se miltā hai vafāoñ ko

    judā ho jaate haiñ āshiq sanam se bevafā ho kar

    vahī be-sūd bandish zamāne ke usūloñ

    vafā ko qaid kar detī haiñ zanjīreñ sazā ho kar

    maiñ kin majbūriyoñ ab karūñ mātam batā 'bāliġh'

    jo paayā be-ḳhudī meñ vo gañvāyā āshnā ho kar

    nahin kuchh faiz hasil tha zamane se KHafa ho kar

    main diwana bana hun KHud hi us but par fana ho kar

    meri duniya mein ashk-o-KHun ka tanta raha har-dam

    kabhi teri wafaon mein kabhi tum se juda ho kar

    tasawwur mein bhi pindar-e-wafa ka lutf hasil tha

    tumhaari zulf-e-qatil-e-pesha ke KHam mein fana ho kar

    ganwai ashkon ne tasir jo KHun-e-jigar ki thi

    gira jab aab-e-gauhar bhi libas-e-tan pe wa ho kar

    yahi duniya ki tang-bini se milta hai wafaon ko

    juda ho jate hain aashiq sanam se bewafa ho kar

    wahi be-sud si bandish zamane ke usulon ki

    wafa ko qaid kar deti hain zanjiren saza ho kar

    main kin majburiyon ka ab karun matam bata 'baaligh'

    jo paya be-KHudi mein wo ganwaya aashna ho kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now