Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin kuchh intiha afsurdagi ki

Amjad Najmi

nahin kuchh intiha afsurdagi ki

Amjad Najmi

MORE BYAmjad Najmi

    nahīñ kuchh intihā afsurdagī

    yahī hai rasm shāyad āshiqī

    lab-e-lālīñ pe ye lahreñ hañsī

    yahī Duube na kashtī zindagī

    Dhale aañsū ki ye TuuTe sitāre

    sukūt shab meñ yaad aa.ī kisī

    chaman meñ buuTā buuTā dekhtā hai

    adā.eñ in mastāna ravī

    baḌhā.e qadam zauq talab meñ

    shikāyat kar na ijz-o-ḳhastagī

    isī naam shāyad zindagī hai

    ḳhushī ik ghaḌī to ik ġhamī

    sukūn-e-sāhil-e-dariyā armāñ

    karo bāteñ na ye kam-himmatī

    milā kar aañkh phir āñkheñ churānā

    adā-e-ḳhās hai ye dilbarī

    atā ho to atā ho dard aisā

    ho lazzat jis meñ soz-e-dā.imī

    abhī hai nūr-o-zulmat kashākash

    abhī hai duur manzil āgahī

    hayāt-e-chand-roza apnī 'najmī'

    hai tasvīr-e-mujassam bebasī

    nahin kuchh intiha afsurdagi ki

    yahi hai rasm shayad aashiqi ki

    lab-e-lalin pe ye lahren hansi ki

    yahi Dube na kashti zindagi ki

    Dhale aansu ki ye TuTe sitare

    sukut shab mein yaad aai kisi ki

    chaman mein buTa buTa dekhta hai

    adaen in ki mastana rawi ki

    baDhae ja qadam zauq talab mein

    shikayat kar na ijz-o-KHastagi ki

    isi ka nam shayad zindagi hai

    KHushi ki ek ghaDi to ek ghami ki

    sukun-e-sahil-e-dariya ka arman

    karo baaten na ye kam-himmati ki

    mila kar aankh phir aankhen churana

    ada-e-KHas hai ye dilbari ki

    ata ho to ata ho dard aisa

    ho lazzat jis mein soz-e-daimi ki

    abhi hai nur-o-zulmat ki kashakash

    abhi hai dur manzil aagahi ki

    hayat-e-chand-roza apni 'najmi'

    hai taswir-e-mujassam bebasi ki

    Source:

    Joye Kahkashan (Pg. 168)

    • Author: Amjad Najmi
      • Edition: 1969
      • Publisher: Ddisha Sahitya Academy, Bhubaneswar
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now