nahin tha dhyan koi toDte hue cigarette
nahīñ thā dhyān koī toḌte hue cigarette
maiñ tujh ko bhuul gayā chhoḌte hue cigarette
so yuuñ huā ki pareshāniyoñ meñ piine lage
ġham-e-hayāt se muñh moḌte hue cigarette
mushābah kitne haiñ ham soḳhta-jabīnoñ se
kisī sutūn se sar phoḌte hue cigarette
kal ik malañg ko kuuḌe ke Dher par lā kar
nashe ne toḌ diyā joḌte hue cigarette
hamāre saañs bhī le kar na bach sake 'afzal'
ye ḳhāk-dān meñ dam toḌte hue cigarette
nahin tha dhyan koi toDte hue cigarette
main tujh ko bhul gaya chhoDte hue cigarette
so yun hua ki pareshaniyon mein pine lage
gham-e-hayat se munh moDte hue cigarette
mushabah kitne hain hum soKHta-jabinon se
kisi sutun se sar phoDte hue cigarette
kal ek malang ko kuDe ke Dher par la kar
nashe ne toD diya joDte hue cigarette
hamare sans bhi le kar na bach sake 'afzal'
ye KHak-dan mein dam toDte hue cigarette
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.