aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale

Basit Bhopali

nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale

Basit Bhopali

MORE BYBasit Bhopali

    nahīñ ye jalva-hā-e-rāz-e-irfāñ dekhne vaale

    tumheñ kab dekhte haiñ kufr-o-īmāñ dekhne vaale

    ḳhudā rakkhe tire ġham bahut nāzuk zamāna hai

    sahar dekheñ na dekheñ shām-e-hijrāñ dekhne vaale

    ye kis ne ke rakh sāmne tasvīr mahshar

    abhī chauñke the ḳhvāb-e-pareshāñ dekhne vaale

    kahāñ tak ā.īna-dār-e-tajalliyāt-e-ḳhud-bīnī

    ye parda bhī ulaT de o dil-o-jāñ dekhne vaale

    ye dīvāne sujūd-e-shauq azmat ko kyā jāneñ

    mujhe kyā paa.eñ farq-e-kufr-o-īmāñ dekhne vaale

    kabhī girdāb se bhī khel maujoñ se bhī Takrā

    are sāhil pe rah kar josh-e-tūfāñ dekhne vaale

    tire qurbān 'bāsit' aur 'bāsit' har ik duniyā

    bahār-e-vahshat-e-āshufta-hālāñ dekhne vaale

    nahin ye jalwa-ha-e-raaz-e-irfan dekhne wale

    tumhein kab dekhte hain kufr-o-iman dekhne wale

    KHuda rakkhe tere gham ka bahut nazuk zamana hai

    sahar dekhen na dekhen sham-e-hijran dekhne wale

    ye kis ne la ke rakh di samne taswir mahshar ki

    abhi chaunke hi the KHwab-e-pareshan dekhne wale

    kahan tak aaina-dar-e-tajalliyat-e-KHud-bini

    ye parda bhi ulaT de o dil-o-jaan dekhne wale

    ye diwane sujud-e-shauq ki azmat ko kya jaanen

    mujhe kya paen farq-e-kufr-o-iman dekhne wale

    kabhi girdab se bhi khel maujon se bhi Takra ja

    are sahil pe rah kar josh-e-tufan dekhne wale

    tere qurban 'basit' aur 'basit' ki har ek duniya

    bahaar-e-wahshat-e-ashufta-haalan dekhne wale

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 58)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now