aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai ghazal ka nai fikr-o-agagi ka waraq

Abdul Wahab Sukhan

nai ghazal ka nai fikr-o-agagi ka waraq

Abdul Wahab Sukhan

MORE BYAbdul Wahab Sukhan

    na.ī ġhazal na.ī fikr-o-āgagī varaq

    zamāna khol rahā hai suḳhanvarī varaq

    mohabbatoñ ke hasīñ baab se zarā aage

    kitāb-e-zīst meñ miltā hai gumrahī varaq

    sunahrī sā.ateñ mansūb haiñ tire ġham se

    palaT ke dekh zarā merī zindagī varaq

    kitāb vaqt āñdhī meñ khul ga.ī shāyad

    havā meñ uḌ gayā derīna dostī varaq

    tilāvatoñ meñ haiñ masrūf tā.irān-e-sahar

    ufuq ne kholā hai kirnoñ raushnī varaq

    mile haiñ aaj suḳhan mere sab ḳhatoñ ke javāb

    jo mere haath lagā us Diary varaq

    nai ghazal ka nai fikr-o-agagi ka waraq

    zamana khol raha hai suKHanwari ka waraq

    mohabbaton ke hasin bab se zara aage

    kitab-e-zist mein milta hai gumrahi ka waraq

    sunahri saaten mansub hain tere gham se

    palaT ke dekh zara meri zindagi ka waraq

    kitab waqt ki aandhi mein khul gai shayad

    hawa mein uD gaya derina dosti ka waraq

    tilawaton mein hain masruf tairan-e-sahar

    ufuq ne khola hai kirnon ki raushni ka waraq

    mile hain aaj suKHan mere sab KHaton ke jawab

    jo mere hath laga us ki Diary ka waraq

    Source:

    Nai Rut Ka Safar (Pg. 89)

    • Author: Abdul Wahab Sukhan
      • Edition: 2014
      • Publisher: Mishkaat Printer, Aligrah
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now