Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki

Akbar Allahabadi

nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki

Akbar Allahabadi

MORE BYAkbar Allahabadi

    na.ī tahzīb se saaqī ne aisī garm-joshī

    ki āḳhir muslimoñ meñ ruuh phūñkī bāda-noshī

    tumhārī policy haal kuchh khultā nahīñ sāhab

    hamārī policy to saaf hai īmāñ-faroshī

    chhupāne ke evaz chhapvā rahe haiñ ḳhud vo aib apne

    nasīhat kyā karūñ maiñ qaum ko ab aib-poshī

    pahanñe ko to kapḌe na the kyā bazm meñ jaate

    ḳhushī ghar baiThe kar ham ne jashn-e-tāj-poshī

    shikast-e-rañg-e-maz.hab asar dekheñ na.e murshid

    musalmānoñ meñ kasrat ho rahī hai bāda-noshī

    re.āyā ko munāsib hai ki bāham dostī rakkheñ

    himāqat hākimoñ se hai tavaqqo.a garm-joshī

    hamāre qāfiye to ho ga.e sab ḳhatm ai 'akbar'

    laqab apnā jo de deñ mehrbānī hai ye joshī

    nai tahzib se saqi ne aisi garm-joshi ki

    ki aaKHir muslimon mein ruh phunki baada-noshi ki

    tumhaari policy ka haal kuchh khulta nahin sahab

    hamari policy to saf hai iman-faroshi ki

    chhupane ke ewaz chhapwa rahe hain KHud wo aib apne

    nasihat kya karun main qaum ko ab aib-poshi ki

    pahanne ko to kapDe hi na the kya bazm mein jate

    KHushi ghar baiThe kar li hum ne jashn-e-taj-poshi ki

    shikast-e-rang-e-mazhab ka asar dekhen nae murshid

    musalmanon mein kasrat ho rahi hai baada-noshi ki

    reaya ko munasib hai ki baham dosti rakkhen

    himaqat hakimon se hai tawaqqoa garm-joshi ki

    hamare qafiye to ho gae sab KHatm ai 'akbar'

    laqab apna jo de den mehrbani hai ye joshi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now