nai zamin nai mamlikat dikhaiyega
na.ī zamīn na.ī mamlikat dikhā.iyegā
falak kā farsh nahīñ ham ko chhat dikhā.iyegā
kabhī jo dekhne aa.e havā-e-mustaqbil
use ye baaġh mirī ma.arifat dikhā.iyegā
zar-e-ḳhayāl ko zam kar ke apne she'roñ meñ
koī kamāl parat-dar-parat dikhā.iyegā
jo lafz-e-ishq pe jiz-biz huā thā maktab meñ
use biThā ke kisī din luġhat dikhā.iyegā
dikhā.iyegā fasāhat ke mo'jize sab ko
ik ek nukte meñ sau-sau jihat dikhā.iyegā
bharā huā huuñ bahut intiqām se 'āzar'
maiñ noch lūñgā mujhe āñkheñ mat dikhā.iyegā
nai zamin nai mamlikat dikhaiyega
falak ka farsh nahin hum ko chhat dikhaiyega
kabhi jo dekhne aae hawa-e-mustaqbil
use ye bagh meri marifat dikhaiyega
zar-e-KHayal ko zam kar ke apne she'ron mein
koi kamal parat-dar-parat dikhaiyega
jo lafz-e-ishq pe jiz-biz hua tha maktab mein
use biTha ke kisi din lughat dikhaiyega
dikhaiyega fasahat ke mo'jize sab ko
ek ek nukte mein sau-sau jihat dikhaiyega
bhara hua hun bahut intiqam se 'azar'
main noch lunga mujhe aankhen mat dikhaiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.