Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai zindagi ki hawa chali to kai naqab utar gae

Shahid Siddiqui

nai zindagi ki hawa chali to kai naqab utar gae

Shahid Siddiqui

MORE BYShahid Siddiqui

    na.ī zindagī havā chalī to ka.ī naqāb utar ga.e

    jinheñ inqalāb se pyaar thā vahī inqalāb se Dar ga.e

    mujhe rahbaroñ se hai ye gila ki unheñ shu.ūr-e-safar na thā

    kabhī rāstoñ meñ ulajh ga.e kabhī manziloñ se guzar ga.e

    tujhe marg-e-nau talāsh hai magar irtiqā pata nahīñ

    koī ek shakl jo miT ga.ī to hazār naqsh ubhar ga.e

    jise justujū-e-sukūñ rahī use sāhiloñ ne Dubo diyā

    unheñ koī mauj na chhū sakī jo taḌap ke paar utar ga.e

    ġham-e-ishq ne ġham-e-kā.enāt meñ ek ruuh phūñk

    mire raag aur sañvar ga.e mire giit aur nikhar ga.e

    nai zindagi ki hawa chali to kai naqab utar gae

    jinhen inqalab se pyar tha wahi inqalab se Dar gae

    mujhe rahbaron se hai ye gila ki unhen shuur-e-safar na tha

    kabhi raston mein ulajh gae kabhi manzilon se guzar gae

    tujhe marg-e-nau ki talash hai magar irtiqa ka pata nahin

    koi ek shakl jo miT gai to hazar naqsh ubhar gae

    jise justuju-e-sukun rahi use sahilon ne Dubo diya

    unhen koi mauj na chhu saki jo taDap ke par utar gae

    gham-e-ishq ne gham-e-kaenat mein ek ruh si phunk di

    mere rag aur sanwar gae mere git aur nikhar gae

    Source:

    (Pg. 81)

    • Author: Shahid Siddiqui
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu Hind, Hyderabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now