Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naim aaj main is shakl ko jawan dekha

Naeem Dehlavi

naim aaj main is shakl ko jawan dekha

Naeem Dehlavi

MORE BYNaeem Dehlavi

    na.iim aaj maiñ is shakl ko javāñ dekhā

    ḳhudā ko sūrat-e-insān meñ ayaañ dekhā

    hai ka.aba meñ aur but-kade meñ hai

    ġharaz ki tujh ko bhī ham ne kahāñ kahāñ dekhā

    karoge jaur kisī aur par to jānoge

    abhī to zulm tum ne mazā kahāñ dekhā

    ham apnī dil tilāvat ko yaad kar ro.e

    kisī ke haal pe gar tujh ko mehrbāñ dekhā

    gire ham aan ke tab tere āstāne par

    jahāñ meñ koī na jab tujh qadr-dāñ dekhā

    agarche yaar to tere hazār hoveñge

    koī bhī ham bhalā yaar jāñ-fishāñ dekhā

    yaqīñ 'na.īm' ke ahvāl na thā tujh ko

    gayā na se āḳhir ai bad-gumāñ dekhā

    naim aaj main is shakl ko jawan dekha

    KHuda ko surat-e-insan mein ayan dekha

    tu hi hai kaba mein aur tu hi but-kade mein hai

    gharaz ki tujh ko bhi hum ne kahan kahan dekha

    karoge jaur kisi aur par to jaanoge

    abhi to zulm ka tum ne maza kahan dekha

    hum apni dil ki tilawat ko yaad kar roe

    kisi ke haal pe gar tujh ko mehrban dekha

    gire hum aan ke tab tere aastane par

    jahan mein koi na jab tujh sa qadr-dan dekha

    agarche yar to tere hazar howenge

    koi bhi hum sa bhala yar jaan-fishan dekha

    yaqin 'naim' ke ahwal ka na tha tujh ko

    gaya na ji hi se aaKHir ai bad-guman dekha

    Source:

    Deewan-e-Naeem Dehlavi (Pg. 48)

    • Author: Naeem Dehlavi
      • Publisher: Khuda Bakhsh Library, Patna
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now