Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam aankhon mein kya kar lega ghussa dekhenge

Vijay Sharma

nam aankhon mein kya kar lega ghussa dekhenge

Vijay Sharma

MORE BYVijay Sharma

    nam āñkhoñ meñ kyā kar legā ġhussa dekheñge

    os ke uupar chiñgārī lahja dekheñge

    shīshe ke bāzār se le ā.eñge kuchh chehre

    vahī pahan kar ham ghar bhī shīsha dekheñge

    kitnī duur talak jā.egī zabt ye kashtī

    kitnā gahrā hai is dard dariyā dekheñge

    dariyā ke pīchhe pīchhe ham sahrā tak aa.e

    kis manzil ko le jaa.e ab sahrā dekheñge

    rūThne vaalī ḳhat paḌh kar fauran lauT aa.iiñ

    ham ne likhā thā sale lagī hai kapḌā dekheñge

    kuchh din meñ dil kho jaanā bilkul mumkin hai

    kahtā hai ham baḌe hue ab duniyā dekheñge

    nam aankhon mein kya kar lega ghussa dekhenge

    os ke upar chingari ka lahja dekhenge

    shishe ke bazar se le aaenge kuchh chehre

    wahi pahan kar hum ghar ka bhi shisha dekhenge

    kitni dur talak jaegi zabt ki ye kashti

    kitna gahra hai is dard ka dariya dekhenge

    dariya ke pichhe pichhe hum sahra tak aae

    kis manzil ko le jae ab sahra dekhenge

    ruThne wali KHat paDh kar fauran hi lauT aain

    hum ne likha tha sale lagi hai kapDa dekhenge

    kuchh din mein dil ka kho jaana bilkul mumkin hai

    kahta hai hum baDe hue ab duniya dekhenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now