Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka

Mani Nagpuri

nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka

Mani Nagpuri

MORE BYMani Nagpuri

    nam haiñ vo āñkheñ burā ho ishq tāsīr

    dūsrā ruḳh kitnā dard-añgez hai tasvīr

    vo mujassam husn-o-tamkīñ dil sarāpā dard-o-ġham

    jaise 'saudā' ke qasā.ed aur taġhazzul 'mīr'

    hind ke lāla-ruḳho az rū-e-ta.amīr-e-vatan

    rañg har ḳhitte ko de do jannat-e-kashmīr

    shauq āñkheñ haiñ akkās-e-bahār-e-husn-e-dost

    dil sadā band-e-ġhinā-e-lahn hai taqrīr

    tere ḳhat meñ bil-mushāfa ham-kalāmī ke maze

    tarz hai maktūb-e-ġhālib meñ yahī tahrīr

    idda.ā-e-ḳhud-shanāsī hai sarāsar be-mahal

    muḳhtalif chehra ho jab har daur tasvīr

    'mānī' fan meñ shaḳhsiyat hotī hai har fankār

    shā.irī parda uThātī hai mirī tasvīr

    nam hain wo aankhen bura ho ishq ki tasir ka

    dusra ruKH kitna dard-angez hai taswir ka

    wo mujassam husn-o-tamkin dil sarapa dard-o-gham

    jaise 'sauda' ke qasaed aur taghazzul 'mir' ka

    hind ke lala-ruKHo az ru-e-tamir-e-watan

    rang har KHitte ko de do jannat-e-kashmir ka

    shauq ki aankhen hain akkas-e-bahaar-e-husn-e-dost

    dil sada band-e-ghina-e-lahn hai taqrir ka

    tere KHat mein bil-mushafa ham-kalami ke maze

    tarz hai maktub-e-ghaalib mein yahi tahrir ka

    iddaa-e-KHud-shanasi hai sarasar be-mahal

    muKHtalif chehra ho jab har daur ki taswir ka

    'mani' fan mein shaKHsiyat hoti hai har fankar ki

    shairi parda uThati hai meri taswir ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now