namaz-e-ishq paDhi hai abhi abhi tumne
namāz-e-'ishq paḌhī hai abhī abhī tum ne
ḳhudā bhī dekhā hai kyā jism meñ kabhī tum ne
maiñ ab ke hijr meñ mumkin hai kuchh sañvar jā.ūñ
agar ḳhayāl rakhā yār-e-ajnabī tum ne
yahāñ ke log to ḳhvāboñ se kaTte jaate the
jagā diyā hai magar zauq-e-zindagī tum ne
maiñ kyā kahūñ mujhe kitnā sukūn detī hai
vo ek baat jo mujh se nahīñ kahī tum ne
namaz-e-'ishq paDhi hai abhi abhi tum ne
KHuda bhi dekha hai kya jism mein kabhi tum ne
main ab ke hijr mein mumkin hai kuchh sanwar jaun
agar KHayal rakha yar-e-ajnabi tum ne
yahan ke log to KHwabon se kaTte jate the
jaga diya hai magar zauq-e-zindagi tum ne
main kya kahun mujhe kitna sukun deti hai
wo ek baat jo mujh se nahin kahi tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.