Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nange panw ki aahaT thi ya narm hawa ka jhonka tha

Abdullah Javed

nange panw ki aahaT thi ya narm hawa ka jhonka tha

Abdullah Javed

MORE BYAbdullah Javed

    nañge paañv aahaT thī narm havā jhoñkā thā

    pichhle pahar ke sannāTe meñ dil dīvāna chauñkā thā

    pāñchoñ havās bazm sajā kar us yaad meñ baiThe the

    ham se pūchho shab-e-judā.ī kab kab pattā khaḌkā thā

    aur bhī the us mahfil meñ bāteñ sab se hotī thiiñ

    sab aañkh bachā kar us ne ham ko tanhā dekhā thā

    duniyā to duniyā Thahrī rañg badaltī rahtī hai

    dukh to ye hai dhyān kisī ghaTtā baḌhtā saayā thā

    kaisā shikva kaisī shikāyat dil meñ yahī socho 'jāved'

    tum ga.e the us galī meñ vo kab tum tak aayā thā

    nange panw ki aahaT thi ya narm hawa ka jhonka tha

    pichhle pahar ke sannaTe mein dil diwana chaunka tha

    panchon hawas ki bazm saja kar us ki yaad mein baiThe the

    hum se puchho shab-e-judai kab kab patta khaDka tha

    aur bhi the us ki mahfil mein baaten sab se hoti thin

    sab ki aankh bacha kar us ne hum ko tanha dekha tha

    duniya to duniya hi Thahri rang badalti rahti hai

    dukh to ye hai dhyan kisi ka ghaTta baDhta saya tha

    kaisa shikwa kaisi shikayat dil mein yahi socho 'jawed'

    tum hi gae the us ki gali mein wo kab tum tak aaya tha

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 553)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now