Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh-e-pa uske rasta us ka

Nusrat Gwaliari

naqsh-e-pa uske rasta us ka

Nusrat Gwaliari

MORE BYNusrat Gwaliari

    naqsh-e-pā us ke rāsta us

    muḌ ke dekhā to kuchh na thā us

    mubtalā kar gayā azāboñ meñ

    ek kamzor faisla us

    iḳhtiyārāt kam na the mere

    maiñ ne chāhā nahīñ burā us

    kaam to aur kisī thā

    naam bad-nām ho gayā us

    log jis zahr se halāk hue

    kitnā mīThā thā zā.iqa us

    jo mirī haar par bahut ḳhush thā

    ab hai ḳhud se muqābla us

    raah zulmatoñ se manzil tak

    ik ujālā hai hausla us

    kaun jaane vo kyuuñ bhaTaktā rahā

    us ko to yaad thā patā us

    us ke qātil baḌī aqīdat se

    pūjte haiñ mujassama us

    toḌ kar mujh se rishta-e-ummīd

    kitnā nuqsān ho gayā us

    ġhalatī ho ga.ī samajhne meñ

    chāhtā thā maiñ fā.eda us

    naqsh-e-pa us ke rasta us ka

    muD ke dekha to kuchh na tha us ka

    mubtala kar gaya azabon mein

    ek kamzor faisla us ka

    iKHtiyaraat kam na the mere

    main ne chaha nahin bura us ka

    kaam to aur hi kisi ka tha

    nam bad-nam ho gaya us ka

    log jis zahr se halak hue

    kitna miTha tha zaiqa us ka

    jo meri haar par bahut KHush tha

    ab hai KHud se muqabla us ka

    rah ki zulmaton se manzil tak

    ek ujala hai hausla us ka

    kaun jaane wo kyun bhaTakta raha

    us ko to yaad tha pata us ka

    us ke qatil baDi aqidat se

    pujte hain mujassama us ka

    toD kar mujh se rishta-e-ummid

    kitna nuqsan ho gaya us ka

    ghalati ho gai samajhne mein

    chahta tha main faeda us ka

    Source:

    Sab Khwab (Pg. 27)

    • Author: Nusrat Gwaliory
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nusrat Gwaliory, Tahzeeb Urdu 5071, Kucha Rahman Pandit, Chandni Chouck, Delhi
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now