Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh-e-tilism-e-wahm hai duniya kahen jise

Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi

naqsh-e-tilism-e-wahm hai duniya kahen jise

Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi

MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi

    naqsh-e-tilism-e-vahm hai duniyā kaheñ jise

    nairangī-e-nazar hai tamāshā kaheñ jise

    vo sāmne haiñ aur nahīñ tāqat-e-nigāh

    be-pardagī bhī vo hai ki pardā kaheñ jise

    sharh-e-haqīqat-e-talab-e-nā-tamām hai

    ik daftar-e-shikāyat-e-bejā kaheñ jise

    us jalva-gāh-e-nāz allah re dilkashī

    hairānī-e-nazar hai tamāshā kaheñ jise

    mauqūf hai ḳhayāl pe ehsās-e-kā.enāt

    hai ik nazāra ḳhvāb duniyā kaheñ jise

    ā.īna-vār vus.at-e-zauq-e-junūñ hai

    har zarra merī ḳhaak sahrā kaheñ jise

    dil hai jabīn-e-shauq ke parde meñ sajda-rez

    ik naqsh-e-bandagī hai suvaidā kaheñ jise

    shikvoñ meñ rang-e-shoḳhī-e-husn-e-talab rahe

    yuuñ ho gilā sitam taqāzā kaheñ jise

    tārāj-e-shoḳhī-e-nigah-e-nāz ho gayā

    vo dil ki dard-e-ishq duniyā kaheñ jise

    hotā hai juzv kul haqīqat aa.ina

    qatroñ ijtimā hai dariyā kaheñ jise

    'farruḳh' malāl se safā.ī lutf hai

    ik ḳhaas adā hai ranjish-e-be-jā kaheñ jise

    naqsh-e-tilism-e-wahm hai duniya kahen jise

    nairangi-e-nazar hai tamasha kahen jise

    wo samne hain aur nahin taqat-e-nigah

    be-pardagi bhi wo hai ki parda kahen jise

    sharh-e-haqiqat-e-talab-e-na-tamam hai

    ek daftar-e-shikayat-e-beja kahen jise

    us jalwa-gah-e-naz ki allah re dilkashi

    hairani-e-nazar hai tamasha kahen jise

    mauquf hai KHayal pe ehsas-e-kaenat

    hai ek nazara KHwab ka duniya kahen jise

    aaina-war wusat-e-zauq-e-junun ka hai

    har zarra meri KHak ka sahra kahen jise

    dil hai jabin-e-shauq ke parde mein sajda-rez

    ek naqsh-e-bandagi hai suwaida kahen jise

    shikwon mein rang-e-shoKHi-e-husn-e-talab rahe

    yun ho gila sitam ka taqaza kahen jise

    taraj-e-shoKHi-e-nigah-e-naz ho gaya

    wo dil ki dard-e-ishq ki duniya kahen jise

    hota hai juzw kul ki haqiqat ka aaina

    qatron ka ijtima hai dariya kahen jise

    'farruKH' malal hi se safai ka lutf hai

    ek KHas ada hai ranjish-e-be-ja kahen jise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now