naqsh koi muKHtalif har naqsh ke andar nikal
naqsh koī muḳhtalif har naqsh ke andar nikāl
in purāne manzaroñ meñ se na.e manzar nikāl
aaj kal kaisī havā-e-shahr hai mahsūs kar
ai amīr-e-shahr khiḌkī khol bāhar sar nikāl
apnī jumla 'ādatoñ kī mustaqil tat.hīr kar
roz apne aap meñ se aadmī behtar nikāl
dekhtā rahtā hai kyoñ baiThā parindoñ kī taraf
tū agar parvāz karnā chāhtā hai par nikāl
vo 'ibādat kar ki jo pāband-e-roz-o-shab na ho
chand sajde vaqt kī tahvīl se bāhar nikāl
ek muddat apnī muTThī chashma-e-imkāñ meñ rakh
aur phir is meñ se koī mumkina gauhar nikāl
lauTne yā ruḳh badalne ke to ham qaa.il nahīñ
rāsta roke agar dīvār 'āsim' dar nikāl
naqsh koi muKHtalif har naqsh ke andar nikal
in purane manzaron mein se nae manzar nikal
aaj kal kaisi hawa-e-shahr hai mahsus kar
ai amir-e-shahr khiDki khol bahar sar nikal
apni jumla 'adaton ki mustaqil tathir kar
roz apne aap mein se aadmi behtar nikal
dekhta rahta hai kyon baiTha parindon ki taraf
tu agar parwaz karna chahta hai par nikal
wo 'ibaadat kar ki jo paband-e-roz-o-shab na ho
chand sajde waqt ki tahwil se bahar nikal
ek muddat apni muTThi chashma-e-imkan mein rakh
aur phir is mein se koi mumkina gauhar nikal
lauTne ya ruKH badalne ke to hum qail nahin
rasta roke agar diwar 'asim' dar nikal
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 122)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.