narm jhonke se ye ek zaKHm sa kya lagta hai
narm jhoñke se ye ik zaḳhm sā kyā lagtā hai
ai havā kuchh tire dāman meñ chhupā lagtā hai
haT ke dekheñge use raunaq-e-mahfil se kabhī
sabz mausam meñ to har peḌ harā lagtā hai
vo koī aur hai jo pyaas bujhātā hai mirī
abr phailā huā dāmān-e-duā lagtā hai
ai lahū maiñ tujhe maqtal se kahāñ le jā.ūñ
apne manzar hī meñ har rang bhalā lagtā hai
aisī be-rang bhī shāyad na ho kal kī duniyā
phuul se bachchoñ ke chehroñ se pata lagtā hai
dekhne vaalo mujhe us se alag mat jaano
yuuñ to har saaya hī paikar se judā lagtā hai
zard dhartī se harī ghaas kī koñpal phūTī
jaise ik ḳhema sar-e-dasht-e-balā lagtā hai
narm jhonke se ye ek zaKHm sa kya lagta hai
ai hawa kuchh tere daman mein chhupa lagta hai
haT ke dekhenge use raunaq-e-mahfil se kabhi
sabz mausam mein to har peD hara lagta hai
wo koi aur hai jo pyas bujhata hai meri
abr phaila hua daman-e-dua lagta hai
ai lahu main tujhe maqtal se kahan le jaun
apne manzar hi mein har rang bhala lagta hai
aisi be-rang bhi shayad na ho kal ki duniya
phul se bachchon ke chehron se pata lagta hai
dekhne walo mujhe us se alag mat jaano
yun to har saya hi paikar se juda lagta hai
zard dharti se hari ghas ki konpal phuTi
jaise ek KHema sar-e-dasht-e-bala lagta hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 91)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.