Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun

Khalilur Rahman Raz

narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun

Khalilur Rahman Raz

MORE BYKhalilur Rahman Raz

    narm shagufta chāñdnī hañstā huā kañval kahūñ

    aisā koī sanam kahāñ jis ke liye ġhazal kahūñ

    chāñd ko chehra-e-alam zaḳhm ko ik kañval kahūñ

    dil mirā chāhtā hai aaj aisī koī ġhazal kahūñ

    tāj-mahal ko marmarīñ jism ik ġhazal kahūñ

    apnī ġhazal ko nuur uḌtā huā mahal kahūñ

    jugnū ho sitāra ho ashk hai merī aañkh

    māh-jabīñ ġhazāl ko apnī koī ġhazal kahūñ

    aap baat chhoḌiye aap to be-misāl haiñ

    husn-e-jafā-shi.ār ko kyuuñ na maiñ be-badal kahūñ

    din hai farishta maut teġh-e-qazā liye hue

    ġham siyāh raat ko sar pe khaḌī ajal kahūñ

    rāh-e-hayāt pur-ḳhatar naqd-e-hayāt muḳhtasar

    ishq ko be-asar kahūñ ilm ko be-amal kahūñ

    tūl-e-shab-e-firāq se kam the ḳhushī ke māh-o-sāl

    vasl ek umr ko hijr ek pal kahūñ

    sach hai agar ki aadmī chāñd pe paañv rakh chukā

    taare bhī toḌ saktā hai us ko bhī muhtamal kahūñ

    fikr ye nazākateñ sher ye latāfateñ

    husn ik asar kahūñ ishq ik amal kahūñ

    sard anā kashmakash shām-e-firāq ban ga.ī

    vo hai agar ba-zid to kyā 'rāz' ko bhī aTal kahūñ

    narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun

    aisa koi sanam kahan jis ke liye ghazal kahun

    chand ko chehra-e-alam zaKHm ko ek kanwal kahun

    dil mera chahta hai aaj aisi koi ghazal kahun

    taj-mahal ko marmarin jism ki ek ghazal kahun

    apni ghazal ko nur ka uDta hua mahal kahun

    jugnu ho ya sitara ho ashk hai meri aankh ka

    mah-jabin ghazal ko apni koi ghazal kahun

    aap ki baat chhoDiye aap to be-misal hain

    husn-e-jafa-shiar ko kyun na main be-badal kahun

    din hai farishta maut ka tegh-e-qaza liye hue

    gham ki siyah raat ko sar pe khaDi ajal kahun

    rah-e-hayat pur-KHatar naqd-e-hayat muKHtasar

    ishq ko be-asar kahun ilm ko be-amal kahun

    tul-e-shab-e-firaq se kam the KHushi ke mah-o-sal

    wasl ki ek umr ko hijr ka ek pal kahun

    sach hai agar ki aadmi chand pe panw rakh chuka

    tare bhi toD sakta hai us ko bhi muhtamal kahun

    fikr ki ye nazakaten sher ki ye latafaten

    husn ka ek asar kahun ishq ka ek amal kahun

    sard ana ki kashmakash sham-e-firaq ban gai

    wo hai agar ba-zid to kya 'raaz' ko bhi aTal kahun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now