Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashat-e-hasti-e-fani ki justuju kya hai

Ahsan Aazmi

nashat-e-hasti-e-fani ki justuju kya hai

Ahsan Aazmi

MORE BYAhsan Aazmi

    nashāt-e-hastī-e-fānī justujū kyā hai

    jo be-sabāt hai phir us aarzū kyā hai

    fanā zā.iqa chakhnā paḌegā har shai ko

    ye husn-e-zīst ye duniyā-e-rang-o-bū kyā hai

    milegā ḳhaak meñ terā ġhurūr bhī zālim

    baḌe baḌoñ ko zamīñ khā ga.ī hai kyā hai

    talāsh-e-yār meñ sahrā-navardiyāñ kaisī

    jo dil ke paas hai phir us justujū kyā hai

    jamāl-e-yār tujh se misāl kaise duuñ

    falak ke chāñd tirā husn kyā hai kyā hai

    zarā baat pe bah jaa.eñ ḳhuun nadiyāñ

    koī batā.e yahāñ qīmat-e-lahū kyā hai

    badan ko noch lo badle meñ roTiyāñ de do

    shikam bhuuk ke aage ye aabrū kyā hai

    haiñ ab bhī aise musalmāñ jo jānte nahīñ

    namāz roza kise kahte haiñ vuzū kyā hai

    diloñ meñ jazba-e-aḳhlāq ho to baat bane

    zabāñ se amn be-faiz guftugū kyā hai

    talāsh karnā phir auroñ ke aib ko 'ahsan'

    pahle jaan le anjām-e-aib-jū kyā hai

    nashat-e-hasti-e-fani ki justuju kya hai

    jo be-sabaat hai phir us ki aarzu kya hai

    fana ka zaiqa chakhna paDega har shai ko

    ye husn-e-zist ye duniya-e-rang-o-bu kya hai

    milega KHak mein tera ghurur bhi zalim

    baDe baDon ko zamin kha gai hai tu kya hai

    talash-e-yar mein sahra-nawardiyan kaisi

    jo dil ke pas hai phir us ki justuju kya hai

    jamal-e-yar ki tujh se misal kaise dun

    falak ke chand tera husn kya hai tu kya hai

    zara si baat pe bah jaen KHun ki nadiyan

    koi batae yahan qimat-e-lahu kya hai

    badan ko noch lo badle mein roTiyan de do

    shikam ki bhuk ke aage ye aabru kya hai

    hain ab bhi aise musalman jo jaante hi nahin

    namaz roza kise kahte hain wuzu kya hai

    dilon mein jazba-e-aKHlaq ho to baat bane

    zaban se amn ki be-faiz guftugu kya hai

    talash karna phir auron ke aib ko 'ahsan'

    tu pahle jaan le anjam-e-aib-ju kya hai

    Source:

    (Pg. 114)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now