aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashat-e-sahra-nawardi ka haal bolta hai

Maqsood Aafaque

nashat-e-sahra-nawardi ka haal bolta hai

Maqsood Aafaque

MORE BYMaqsood Aafaque

    nashāt-e-sahrā-navardī haal boltā hai

    hamārā shauq hamīñ ko niDhāl boltā hai

    urūj-e-dilbarī hasrat se dekhne vaale

    vo sun jo silsila-e-pā.emāl boltā hai

    ye kyā sitam hai ki ab us sāmnā hogā

    jo lab hilā.e binā bhī kamāl boltā hai

    bhañvar ko ek kināra samajh rahā huuñ maiñ

    kisī ke hone kyā ehtimāl boltā hai

    zamāne bhar ko maiñ dil se nikāl detā huuñ

    zamāna jab tujhe dil se nikāl boltā hai

    haqīqī āñkhoñ se dekhā gayā hai ye manzar

    mire sukūt se terā ḳhayāl boltā hai

    abhī na dekheñge ham aane vaale kal taraf

    abhī to guzre zamānoñ haal boltā hai

    nashat-e-sahra-nawardi ka haal bolta hai

    hamara shauq hamin ko niDhaal bolta hai

    uruj-e-dilbari hasrat se dekhne wale

    wo sun jo silsila-e-paemal bolta hai

    ye kya sitam hai ki ab us ka samna hoga

    jo lab hilae bina bhi kamal bolta hai

    bhanwar ko ek kinara samajh raha hun main

    kisi ke hone ka kya ehtimal bolta hai

    zamane bhar ko main dil se nikal deta hun

    zamana jab tujhe dil se nikal bolta hai

    haqiqi aankhon se dekha gaya hai ye manzar

    mere sukut se tera KHayal bolta hai

    abhi na dekhenge hum aane wale kal ki taraf

    abhi to guzre zamanon ka haal bolta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now