Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai

Agha Naginwi

nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai

Agha Naginwi

MORE BYAgha Naginwi

    nashāt kam hai ki sāmān-e-dilkashī kam hai

    sharīk-e-bazm nahīñ haiñ to kyā tumheñ ġham hai

    ḳhudī zor hai ehsās-e-bandagī kam hai

    ik inqalāb se barham nizām-e-ālam hai

    hayāt vājib-o-mumkin rabt-e-bāham hai

    hamāre dil taḌap hāsil-e-do-ālam hai

    fareb jab se mohabbat pe ho gayā ġhālib

    ik iztirāb hai bechain rūh-e-ālam hai

    natīja aish-e-musalsal shauq-e-mamnūāt

    ajab nahīñ ki ye mīrās-e-ibn-e-ādam hai

    shajar nihāl haiñ ḳhandāñ haiñ gul khilīñ kaliyāñ

    chaman meñ jān-e-tamannā ḳhair-maqdam hai

    ye har ghaḌī pareshāñ-ḳhayāliyāñ 'āġhā'

    tafakkurāt-e-zamāna se naak meñ dam hai

    chhupā sakā na mohabbat ke raaz ko 'āġhā'

    hazār zabt kiyā phir bhī aañkh pur-nam hai

    nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai

    sharik-e-bazm nahin hain to kya tumhein gham hai

    KHudi ka zor hai ehsas-e-bandagi kam hai

    ek inqalab se barham nizam-e-alam hai

    hayat wajib-o-mumkin ka rabt-e-baham hai

    hamare dil ki taDap hasil-e-do-alam hai

    fareb jab se mohabbat pe ho gaya ghaalib

    ek iztirab hai bechain ruh-e-alam hai

    natija aish-e-musalsal ka shauq-e-mamnuat

    ajab nahin ki ye miras-e-ibn-e-adam hai

    shajar nihaal hain KHandan hain gul khilin kaliyan

    chaman mein jaan-e-tamanna ka KHair-maqdam hai

    ye har ghaDi ki pareshan-KHayaliyan 'agha'

    tafakkuraat-e-zamana se nak mein dam hai

    chhupa saka na mohabbat ke raaz ko 'agha'

    hazar zabt kiya phir bhi aankh pur-nam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now