nashe mein Dub ke zaKHm-e-sada hue bhi to kya
nashe meñ Duub ke zaḳhm-e-sadā hue bhī to kyā
ḳhud apnī ḳhaak kuchal kar ḳhudā hue bhī to kyā
bichhaḌ ga.ī thī vahī shai jo merī thī hī nahīñ
jo mere the hī nahīñ vo judā hue bhī to kyā
vo chehra-sāz nazar bhī ḳhayāl-o-ḳhvāb huī
vo diid hī na rahī aa.ina hue bhī to kyā
nashe mein Dub ke zaKHm-e-sada hue bhi to kya
KHud apni KHak kuchal kar KHuda hue bhi to kya
bichhaD gai thi wahi shai jo meri thi hi nahin
jo mere the hi nahin wo juda hue bhi to kya
wo chehra-saz nazar bhi KHayal-o-KHwab hui
wo did hi na rahi aaina hue bhi to kya
- Book : Ishq (Pg. 134)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.