aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nashe mein ye kya samajh liya tha

imtiyaz Khan

nashe mein ye kya samajh liya tha

imtiyaz Khan

MORE BYimtiyaz Khan

    nashe meñ ye kyā samajh liyā thā

    ḳhudā ko banda samajh liyā thā

    zarā chup thī usī ko tum ne

    na jaane kyā kyā samajh liyā thā

    hasīñ thā vo is qadar ki ham ne

    nazar dhokā samajh liyā thā

    maiñ aisā pāgal diyā thā jis ne

    havā ko apnā samajh liyā thā

    ham us ke dil tak pahuñchte kaise

    badan ko rāsta samajh liyā thā

    use yuuñ chhoḌā ki us ne ham ko

    bahut ziyāda samajh liyā thā

    ham apnī ġhalatī se bik ga.e haiñ

    tumheñ zuleḳhā samajh liyā thā

    hamārī sāda-dilī to dekho

    ḳhudā ko apnā samajh liyā thā

    milan judā.ī taḌap udāsī

    ye khel saarā samajh liyā thā

    tumhārī āñkheñ samajh na paa.e

    har ik muamma samajh liyā thā

    lab us ne khole nahīñ the phir bhī

    javāb us samajh liyā thā

    vo āñkheñ ka.aba sifat thī jin ko

    sharāb-ḳhāna samajh liyā thā

    nashe mein ye kya samajh liya tha

    KHuda ko banda samajh liya tha

    zara si chup thi usi ko tum ne

    na jaane kya kya samajh liya tha

    hasin tha wo is qadar ki hum ne

    nazar ka dhoka samajh liya tha

    main aisa pagal diya tha jis ne

    hawa ko apna samajh liya tha

    hum us ke dil tak pahunchte kaise

    badan ko rasta samajh liya tha

    use yun chhoDa ki us ne hum ko

    bahut ziyaada samajh liya tha

    hum apni ghalati se bik gae hain

    tumhein zuleKHa samajh liya tha

    hamari sada-dili to dekho

    KHuda ko apna samajh liya tha

    milan judai taDap udasi

    ye khel sara samajh liya tha

    tumhaari aankhen samajh na pae

    har ek muamma samajh liya tha

    lab us ne khole nahin the phir bhi

    jawab us ka samajh liya tha

    wo aankhen kaba sifat thi jin ko

    sharab-KHana samajh liya tha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    imtiyaz Khan

    imtiyaz Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now