nasheman jal chuka ahl-e-chaman hain sargiran humse

nasheman jal chuka ahl-e-chaman hain sargiran humse
Abdur Rasheed Kaifi
MORE BYAbdur Rasheed Kaifi
nasheman jal chukā ahl-e-chaman haiñ sargirāñ ham se
qafas se chhūT kar jaa.eñ kahāñ be-ḳhānumāñ ham se
sunā.eñ ab unheñ kis muñh se qissa hasrat-e-dil kā
hue haiñ ek harf-e-ārzū par bad-gumāñ ham se
jabīn-o-sañg-e-dar kā tafraqa yaksar miTā Daalā
qarīñ sajdoñ ne itnā kar diyā hai āstāñ ham se
jalāyā āshiyāñ phūñkā chaman phir bhī na chain aayā
talab ab aur kyā kartī haiñ āḳhir bijliyāñ ham se
karam thā ābloñ kā aur ināyat sāthiyoñ kī thī
zarā sī duur manzil thī ki chhuTā kārvāñ ham se
kabhī to jazba-e-ulfat dikhā.egā asar 'kaifī'
na pūchhī jā.egī kab tak hamārī dāstāñ ham se
nasheman jal chuka ahl-e-chaman hain sargiran hum se
qafas se chhuT kar jaen kahan be-KHanuman hum se
sunaen ab unhen kis munh se qissa hasrat-e-dil ka
hue hain ek harf-e-arzu par bad-guman hum se
jabin-o-sang-e-dar ka tafraqa yaksar miTa Dala
qarin sajdon ne itna kar diya hai aastan hum se
jalaya aashiyan phunka chaman phir bhi na chain aaya
talab ab aur kya karti hain aaKHir bijliyan hum se
karam tha aablon ka aur inayat sathiyon ki thi
zara si dur manzil thi ki chhuTa karwan hum se
kabhi to jazba-e-ulfat dikhaega asar 'kaifi'
na puchhi jaegi kab tak hamari dastan hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.