Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nasihat se meri ye sau kos bhage

nayan sukh

nasihat se meri ye sau kos bhage

nayan sukh

MORE BYnayan sukh

    nasīhat se merī ye sau kos bhāge

    tilañgoñ haq meñ jaise bhūtiyā hai

    maiñ baiThūñ zamīñ par ye baiThe samāñ par

    kujā taḳht-e-shāhī kujā boriyā hai

    kareñ jā-ba-jā log par kabūtar

    har ik baat mach rahā tūtiyā hai

    zamāne ye haal aur dil ye haal

    kaho kis tarah rahtī sharm aur hayā hai

    bhañvar biich ġham ke maiñ Dāloñ aur uchhlūñ

    ye kahtā hai mujh se ki marjiyā hai

    maiñ sau sau dafa terā phāḌā garebāñ

    batā ne kis se vāste phir siyā hai

    hai maut Dher mat bol mujh se

    amar huuñ maiñ ne aab āb-e-haivāñ piyā hai

    mere saanī na.ī hai koī ab jahāñ meñ

    falak ke kañgūroñ ko maiñ ne chhiyā hai

    ḳhudā huuñ sadā 'āshiqī par maiñ usī

    vo jo qais sahrā meñ ek ho gayā hai

    ḳhudā taraf jin ne dil ko lagāyā

    huā faz us ke se vo ambiyā hai

    mire meñ āvegī so karūñgā

    maiñ muḳhtār huuñ merā karam ḳhurda hai

    suneñ dil ke muñh se maiñ jab aisī bāteñ

    ḳhudā shāhid hai maiñ ne ro ro diyā hai

    phir āḳhir ho lāchār meñ haar baiThā

    ye laḌne ke ta.iiñ miir ḳhaañ Thokiyā hai

    kahūñ kyā kyā yaaro maiñ dil ke tamāshe

    ye to svāñg laane ko bahrūpiyā hai

    na bik aage ab 'nayan' ḳhāmosh ho

    ye dil hai terā yaar lañgoTiyā hai

    nasihat se meri ye sau kos bhage

    tilangon ki haq mein jaise bhutiya hai

    main baiThun zamin par ye baiThe saman par

    kuja taKHt-e-shahi kuja boriya hai

    karen ja-ba-ja log par ka kabutar

    har ek baat ka mach raha tutiya hai

    zamane ka ye haal aur dil ka ye haal

    kaho kis tarah rahti sharm aur haya hai

    bhanwar bich gham ke main Dalon aur uchhlun

    ye kahta hai mujh se ki tu marjiya hai

    main sau sau dafa tera phaDa gareban

    bata tu ne kis se waste phir siya hai

    tu hai maut ka Dher mat bol mujh se

    amar hun main ne aab aab-e-haiwan piya hai

    mere sani nai hai koi ab jahan mein

    falak ke kanguron ko main ne chhiya hai

    KHuda hun sada 'ashiqi par main usi ki

    wo jo qais sahra mein ek ho gaya hai

    KHuda ki taraf jin ne dil ko lagaya

    hua faz us ke se wo ambiya hai

    mere ji mein aawegi so hi karunga

    main muKHtar hun mera karam KHurda hai

    sunen dil ke munh se main jab aisi baaten

    KHuda shahid hai main ne ro ro diya hai

    phir aaKHir ho lachaar mein haar baiTha

    ye laDne ke tain mir KHan Thokiya hai

    kahun kya kya yaro main dil ke tamashe

    ye to swang lane ko bahrupiya hai

    na bik aage ab 'nayan' KHamosh ho ra

    ye dil hai tera yar langoTiya hai

    Source:

    Deewan-e-Nain Sukh (Pg. e-51 p-52)

      • Edition: 1992
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now