Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya

Nawaz Asimi

natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya

Nawaz Asimi

MORE BYNawaz Asimi

    natīja dekhiye kuchh din meñ kyā se kyā nikal aayā

    kahīñ pe biij boyā thā kahīñ paudhā nikal aayā

    raqam hai jis pe mere ābā-o-ajdād shajara

    mire ghar khudā.ī meñ vahī katba nikal aayā

    sunā hai aaj sab uryāñ nazar ā.eñge saḌkoñ par

    maiñ apne ghar se ban kar aaj nā-bīnā nikal aayā

    kuchh aise zāviye se aaj sūraj ne hukūmat

    ke mere jism ke saaye bhī saaya nikal aayā

    asā jab hazrat-e-mūsā ne maarā bahte paanī par

    to paanī phaT gayā aur sāmne rasta nikal aayā

    ai sapnoñ ke parindoñ hijratoñ se rok lo ḳhud ko

    mirī āñkhoñ ke registān meñ chashma nikal aayā

    tirī nazroñ ke auzāroñ ne mere jism-e-ḳhākī

    jigar khodā to TuuTe dil kuchh malba nikal aayā

    vo kam-zarf jo har dar pe dāman ko pasāre hai

    maiñ vo ḳhuddār jo dariyā se bhī pyāsā nikal aayā

    natija dekhiye kuchh din mein kya se kya nikal aaya

    kahin pe bij boya tha kahin paudha nikal aaya

    raqam hai jis pe mere aaba-o-ajdad ka shajara

    mere ghar ki khudai mein wahi katba nikal aaya

    suna hai aaj sab uryan nazar aaenge saDkon par

    main apne ghar se ban kar aaj na-bina nikal aaya

    kuchh aise zawiye se aaj suraj ne hukumat ki

    ke mere jism ke saye ka bhi saya nikal aaya

    asa jab hazrat-e-musa ne mara bahte pani par

    to pani phaT gaya aur samne rasta nikal aaya

    ai sapnon ke parindon hijraton se rok lo KHud ko

    meri aankhon ke registan mein chashma nikal aaya

    teri nazron ke auzaron ne mere jism-e-KHaki ka

    jigar khoda to TuTe dil ka kuchh malba nikal aaya

    tu wo kam-zarf jo har dar pe daman ko pasare hai

    main wo KHuddar jo dariya se bhi pyasa nikal aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now