Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

natija kyunkar achchha ho na ho jab tak amal achchha

Ismail Merathi

natija kyunkar achchha ho na ho jab tak amal achchha

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    natīja kyūñkar achchhā ho na ho jab tak amal achchhā

    nahīñ boyā hai tuḳhm achchhā to kab pāoge phal achchhā

    karo mat āj-kal hazrat burā.ī ko abhī chhoḌo

    nahīñ jo kaam achchhā vo na aaj achchhā na kal achchhā

    bure ko tag bhī karne aur tavaqqo nek-nāmī

    dimāġh apnā sañvāro tum nahīñ hai ye ḳhalal achchhā

    jo ho jaa.e ḳhatā koī ki āḳhir aadmī ho tum

    to jitnā jald mumkin ho karo us badal achchhā

    kare jo paañv bad-rāhī to sonā us behtar hai

    na ho jis haath se nekī to aisā haath shal achchhā

    natija kyunkar achchha ho na ho jab tak amal achchha

    nahin boya hai tuKHm achchha to kab paoge phal achchha

    karo mat aaj-kal hazrat burai ko abhi chhoDo

    nahin jo kaam achchha wo na aaj achchha na kal achchha

    bure ko tag bhi karne aur tawaqqo nek-nami ki

    dimagh apna sanwaro tum nahin hai ye KHalal achchha

    jo ho jae KHata koi ki aaKHir aadmi ho tum

    to jitna jald mumkin ho karo us ka badal achchha

    kare jo panw bad-rahi to sona us ka behtar hai

    na ho jis hath se neki to aisa hath shal achchha

    Source:

    Kulliyat-w-Hayat-e-Ismail Ba-Tasveer (Pg. ebook-471 page-283)

    • Author: Mohammad Aslam Saifi
      • Edition: 1939
      • Publisher: Dayal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now