Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang

Shaheer Machlishahri

nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang

Shaheer Machlishahri

MORE BYShaheer Machlishahri

    nazar aatā nahīñ kuchh sub.h ke āsār rang

    zulmat-e-gor se bad-tar hai shab-e-tār rang

    uḌ gayā zo.af-e-maraz se ruḳh-e-bīmār rang

    de do thoḌā tum apne gul-e-ruḳhsār rang

    hashr meñ rahmat-e-dāvar ne jo nazreñ Dālīñ

    ho gayā surḳh vahīñ rū-e-gunahgār rang

    fasl-e-mai aane do phir hai ye hamārā zimma

    ho gulābī na agar shaiḳh dastār rang

    halqe āñkhoñ meñ paḌe murdanī muñh par chhā.e

    nazar aatā nahīñ achchhā tire bīmār rang

    tum dikhā do jo zarā āriz-e-gulgūñ bahār

    to badal jaa.e abhī chehra-e-bīmār rang

    araq-e-sharm-e-gunah ashk-e-nadāmat se 'shahīr'

    saaf ho jaatā hai sab rū-e-siyahkār rang

    nazar aata nahin kuchh subh ke aasar ka rang

    zulmat-e-gor se bad-tar hai shab-e-tar ka rang

    uD gaya zoaf-e-maraz se ruKH-e-bimar ka rang

    de do thoDa sa tum apne gul-e-ruKHsar ka rang

    hashr mein rahmat-e-dawar ne jo nazren Dalin

    ho gaya surKH wahin ru-e-gunahgar ka rang

    fasl-e-mai aane do phir hai ye hamara zimma

    ho gulabi na agar shaiKH ki dastar ka rang

    halqe aankhon mein paDe murdani munh par chhae

    nazar aata nahin achchha tere bimar ka rang

    tum dikha do jo zara aariz-e-gulgun ki bahaar

    to badal jae abhi chehra-e-bimar ka rang

    araq-e-sharm-e-gunah ashk-e-nadamat se 'shahir'

    saf ho jata hai sab ru-e-siyahkar ka rang

    Source:

    Khayaban-e-Tarannum (Pg. 86)

    • Author: Shaheer Machlishahri
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1936
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now