Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar bhi aaya to KHud se chhupa liya maine

Sarfraz Nawaz

nazar bhi aaya to KHud se chhupa liya maine

Sarfraz Nawaz

MORE BYSarfraz Nawaz

    nazar bhī aayā to ḳhud se chhupā liyā maiñ ne

    ye kaun hai jise apnā banā liyā maiñ ne

    tumhārā lams chhupā hai badan partoñ meñ

    chhuā jo ḳhud ko lagā tum ko liyā maiñ ne

    usī ke sāmne jo rahmatoñ mālik hai

    shikāyatoñ ko duā meñ milā liyā maiñ ne

    na kuchh davā zarūrat na chāra-gar talāsh

    ye rog kaun dil ko lagā liyā maiñ ne

    jhulas gayā huuñ jalā huuñ dhuāñ dhuāñ ho kar

    añdherī raat se tum ko bachā liyā maiñ ne

    vo milne-julne ke mausam guzar ga.e kab ke

    milā jo koī gale se lagā liyā maiñ ne

    tumhāre sach hifāzat meñ yuuñ huā aksar

    ki apne-āp ko jhūTā banā liyā maiñ ne

    nazar bhi aaya to KHud se chhupa liya main ne

    ye kaun hai jise apna bana liya main ne

    tumhaara lams chhupa hai badan ki parton mein

    chhua jo KHud ko laga tum ko pa liya main ne

    usi ke samne jo rahmaton ka malik hai

    shikayaton ko dua mein mila liya main ne

    na kuchh dawa ki zarurat na chaara-gar ki talash

    ye rog kaun sa dil ko laga liya main ne

    jhulas gaya hun jala hun dhuan dhuan ho kar

    andheri raat se tum ko bacha liya main ne

    wo milne-julne ke mausam guzar gae kab ke

    mila jo koi gale se laga liya main ne

    tumhaare sach ki hifazat mein yun hua aksar

    ki apne-ap ko jhuTa bana liya main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now