Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar chura gae izhaar-e-muddaa se mere

Shaanul Haq Haqqi

nazar chura gae izhaar-e-muddaa se mere

Shaanul Haq Haqqi

MORE BYShaanul Haq Haqqi

    nazar churā ga.e iz.hār-e-mudda.ā se mire

    tamām lafz jo lagte the āshnā se mire

    rafīqo raah ke ḳham sub.h kuchh haiñ shaam kuchh aur

    milegī tum ko na manzil nuqūsh-e-pā se mire

    lagī hai chashm-e-zamāna agarche vo dāman

    bahut hai duur abhī dast-e-nā-rasā se mire

    yahīñ kahīñ vo haqīqat na kyuuñ talāsh karūñ

    jise gurez hai auhām-e-mā-varā se mire

    kisī pe minnat-e-bejā nahīñ ki sach ye hai

    sañvar ga.e dil o jaañ sheva-e-vafā se mire

    girāñ haiñ kaan pe un ke vahī suḳhan jo abhī

    adā hue bhī nahīñ nutq-e-be-navā se mire

    khulā chaman na havā meñ phir ai naqīb-e-bahār

    abhī to zaḳhm hare haiñ tirī duā se mire

    nashāt o rañg ke ḳhūgar mujhe muaaf rakheñ

    chhalak paḌe jo lahū sāz-e-ḳhush-navā se mire

    nazar chura gae izhaar-e-muddaa se mere

    tamam lafz jo lagte the aashna se mere

    rafiqo rah ke KHam subh kuchh hain sham kuchh aur

    milegi tum ko na manzil nuqush-e-pa se mere

    lagi hai chashm-e-zamana agarche wo daman

    bahut hai dur abhi dast-e-na-rasa se mere

    yahin kahin wo haqiqat na kyun talash karun

    jise gurez hai auham-e-ma-wara se mere

    kisi pe minnat-e-beja nahin ki sach ye hai

    sanwar gae dil o jaan shewa-e-wafa se mere

    giran hain kan pe un ke wahi suKHan jo abhi

    ada hue bhi nahin nutq-e-be-nawa se mere

    khula chaman na hawa mein phir ai naqib-e-bahaar

    abhi to zaKHm hare hain teri dua se mere

    nashat o rang ke KHugar mujhe muaf rakhen

    chhalak paDe jo lahu saz-e-KHush-nawa se mere

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nazar chura gae izhaar-e-muddaa se mere Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now