Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ek saya-e-abr-e-bala par jam gai hai

Vipul Kumar

nazar ek saya-e-abr-e-bala par jam gai hai

Vipul Kumar

MORE BYVipul Kumar

    nazar ik saya-e-abr-e-balā par jam ga.ī hai

    ye kālakh dil se utrī hai ghaTā par jam ga.ī hai

    maiñ har but ko harārat kashish batlā rahā huuñ

    ajab ik barf mere devtā par jam ga.ī hai

    zarūr aglī ruteñ ab rāsta bhaTkeñgī is se

    ye jo kuchh ret mere naqsh-e-pā par jam ga.ī hai

    badan par naqsh rah jaate haiñ aur dil meñ nadāmat

    kisī lamhe ujlat dast-o-pā par jam ga.ī hai

    hamāre sar to āḳhir ḳhaak hone the ik din

    ye kaisī raushnī teġh-e-jafā par jam ga.ī hai

    chhupānā chāhtā thā maiñ use sheroñ meñ apne

    ab ek aalam aañkh us bevafā par jam ga.ī hai

    hamāre paañv meñ chakkar hai vo bhī chāñd hai

    sitāroñ thakan us ridā par jam ga.ī hai

    nazar ek saya-e-abr-e-bala par jam gai hai

    ye kalakh dil se utri hai ghaTa par jam gai hai

    main har but ko hararat ki kashish batla raha hun

    ajab ek barf mere dewta par jam gai hai

    zarur agli ruten ab rasta bhaTkengi is se

    ye jo kuchh ret mere naqsh-e-pa par jam gai hai

    badan par naqsh rah jate hain aur dil mein nadamat

    kisi lamhe ki ujlat dast-o-pa par jam gai hai

    hamare sar to aaKHir KHak hi hone the ek din

    ye kaisi raushni tegh-e-jafa par jam gai hai

    chhupana chahta tha main use sheron mein apne

    ab ek aalam ki aankh us bewafa par jam gai hai

    hamare panw mein chakkar hai wo bhi chand ka hai

    sitaron ki thakan us ki rida par jam gai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now